Low Energy

Thakan Aur Low Energy ke liye Mere Gharelu Hacks – Real Tips

Namaste! Main hoon Vaishnavi 👋
Ghar ke kaam, maa banna, baby ka routine, aur blogging ka sapna – sab kuch ek sath chal raha hai. Lekin kuch din aise hote hain jab lagta hai:

“Maine to kuch khaas nahi kiya, fir bhi thak gayi hoon…”

Kya aap bhi kabhi aise feel karti ho?

Mujhe bhi ye sabse zyada tab mehsoos hua jab meri beti chhoti thi aur raat ki neend poori nahi hoti thi. Par dheere dheere maine kuch simple aur natural hacks try kiye jo meri routine me asaani se fit ho gaye aur energy boost karne me help bhi ki.

Aaj ke blog me wahi 5 favourite gharelu hacks share kar rahi hoon – jo maine personally use kiye hain aur jinka effect bhi mehsoos kiya hai.

1. Haldi Doodh + Black Pepper – Raat Ki Shanti Ka Raaz

Aapne haldi doodh ke baare me to suna hi hoga, par jab isme thoda sa black pepper (kali mirch) add karte hain to iska absorption aur bhi achha ho jaata hai.

Kaise banati hoon:

  • 1 cup garam doodh
  • 1/4 tsp organic haldi
  • 1 chhutki kali mirch powder
  • 1 tsp honey (optional)

Source-backed Benefit:

  • Haldi me hota hai Curcumin, jo anti-inflammatory hota hai (Source: Healthline)
  • Black pepper helps in curcumin absorption
  • Night me lene se body calm hoti hai aur deep sleep milti hai → jis se energy next day high rehti hai

2. Khali Pet Dry Fruits – Mere Subah Ka Energy Shot

Subah nashte se pehle main 3 dry fruits zaroor leti hoon – badam, akhrot, aur khajoor.

Mere combo:

  • 5 badam (bheegaye hue raat bhar)
  • 1 akhrot
  • 2 khajoor

Kyu kaam karta hai:

  • Khajoor me natural sugar hoti hai jo fatigue se ladta hai
  • Akhrot memory & mood ke liye achha hota hai
  • Badam gives protein + healthy fat

3. Nariyal Paani + Sabja Seeds – Hydration + Cooling

Mujhe Gujarat ke garmi wale mausam me thakan sirf physical nahi, mental bhi lagti hai. Tab main prefer karti hoon:

Natural Energy Drink:

  • 1 glass fresh nariyal paani
  • 1 tsp sabja seeds (10 mins bhigoye hue)
  • Optional: few drops lemon juice

Yeh isliye effective hai:

4. Light Movement – Energy Rest Nahi, Flow Se Aati Hai

Jab body thaki ho to movement se bachne ka mann karta hai, par main notice kiya ki halki si morning walk ya stretching ne mera energy level better banaya.

Kya karti hoon:

  • Subah 10 min walk (room ke andar bhi chalega)
  • Baby ko godh me leke slow walk
  • 3-4 deep breaths (especially afternoon me)

Movement → circulation → oxygen → energy!

5. 15-Minute Phone-Free Nap – Mera Real Recharger

Kabhi-kabhi low energy ka reason hota hai mental overload.
Main roz 15 minute phone side me rakh kar aankhein band karke rest karti hoon – bina guilt ke!

Yeh short nap mujhe refresh bhi karta hai aur headache bhi door karta hai.
Kahi baar main meditation music ya white noise bhi use karti hoon.

Bonus Tips – Jo Chhoti Lagti Hain, Par Kaafi Powerful Hain

  • Pani copper bottle me piyein – improve digestion & stamina
  • Light breakfast rakhein – e.g., upma, fruit salad
  • Soothing music – mood instantly uplift hota hai

Health Disclaimer

Is blog me diye gaye hacks sirf mera personal experience hai. Har body alag hoti hai, isliye kisi bhi remedy ko adopt karne se pehle doctor ya health expert ki salah lena zaroori hai. Ye blog medical advice ka replacement nahi hai.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *